Sunday, July 31, 2011

Juda rehne ka ehsas

Juda rehne ka ehsas ho ha itna hasin ae sanam,
to sochta hun k tera milna kaisa hoga,
shayad ye ha mere ishq ka junoon ya fir muqaddar ha,
socha nahi ta k hamara bhi hal diwano jaisa hoga.
tujhse agaz karte hain har subah ka aur rehte ha usi khyal me,
kabhi na jaante the k ishq me haal aisa hoga.
hum bhi kabhi hua krte the dil fenk mast gustakh,
socha nahi tha k mohabbat ka kamal aisa hoga.
zahin koi rehta nahi ishq me aur kho deta ha sari samajh,
socha nahi tha kabhi k mera koi saal aisa hoga.

Guzaarish

Tera sath miley toh zindagi savar jaye,
tumhara hath miley to zindagi savar jaaye,
yun toh hum rehte ha khushmizaj hamesha hi,
us khushi me tu shamil rahe to zindagi savar jaaye.
tujhse milne ka asar kuch hota ha is kadar k jaise,
tu dekh le ek baar aur sara alam savar jaaye,
wah wah tera alvida kehne ka ha andaz,
juda hote hi jaise saari duniya thehar jaaye,
gazab shiddat nazar aati ha tere aah bharne k andaz mein,
aur ankhon me jaise sara samandar utarr aaye,
aa jaao na meri zindagi me bahar ek fuhaar banke,
isi guzarish mein darta hun na zindagi ye guzar jaaye.

Ajeeb Tauhfa-Sadness

Khuda ne ek tauhfa ajeeb diya ha mujhe,
gham apna na zahir hum kar paate hain kabhi,
jab bhi chaha k ro lein kisi dost ya hamdard k aage,
wo dost us pal me masruf mila ha tabhi.
bahut baar koshish ki k kisi k aage baha kar ansu gham ghata len lekin,
har kisi ko kuch na kuch zindagi ka uljha sa kaam raha ha tabhi,
meri zindagi k kisi bhi gham me koi bhi na mila ha gham-raaz aaj tak,
aur ab toh ye ummid bhi nahi k milega gham ka hissedaar kabhi,
har kisi k gham me hue hain shariq har lehza har darja hum,
lekin tanha hi khud ko paate hain aur choote jaate ha yar sabhi.
chalo khair ab to humne bhi maan liya ha isko zaimat uski,
aur haste hain sath hamare zakhm sabhi aur dard sabhi.

Judai ki raatein

wo has k jo kar jaate hain judai ki baatein,
na samjhe kabhi hum vidai ki baatein,
jaane ka unke asar ye hua ha,
hain mushkil bitani judai ki raatein,
wo kehte the aksar karenge wafa wo,
kahan se wo seekhe bewafayi ki baatein,
na zahir labon se jo hota ha gham wo,
ha rehta shakl-e-tanhayi ki raatein,
kuch hi dino me ha lagne laga yeh,
hazaron hain beeti judayi ki raatein.

Mushkil

Ye mohabbat ki kasak,ye jazbon ka bawandarr,
ek dil k zakhm taza,uspe mera yar sitamgar,
doobte jaatein hain hum ashkon k sailaab mein,
unhe ishq dikhta hi nahi,iss ashq-e-nayaab mein.
na samajh aaya unhe ha,kar chuke hain hum jo zahir,
batayein to kaise batayen,hal-e-dil zubanon se ha bahir,
aake wapas mud hain jaati baatein saari gham-parast,
aur uspe ye bhi mushkil wo hame maante hain hum-parast.
chupana mushkil batana mushkil,dil ka haal jatana mushkil,
jhuth unse bolenge nahi aur sach unko samjhana mushkil.