Saturday, September 24, 2011

Kaise Batayein Unko

Kis daur se guzarte hain kya batayein unko,
dusra koi aur jab chu jaye unko,
kehte nahi ha hum per jazbaat aise hain kuch,
k hamare siva koi aur nahi chahe unko,
wo to hain hamare is hal-e-dil se befikr,
koi jaaye aur jaake ye bataye unko,
hota nahi ha qaabu dil per jab muskuraate hain wo,
muskurahat k ha qaayal sab ye kaun samjhaye unko,
sath chahte hain dost unke sab aur hum bhi,
darte hain k koi aur hi na le jaaye unko,
hamare paas kuch nahi bas pyar ha sarmaya unka,
mohabbat ha sirf daulat meri koi bataye unko,
chahte hai duniya se chura lein aur le jayein kahin dur,
per unki khushiyon se dur kaise akhir le jayein unko.

Neend Nahi Aati

Kya batayein dilbar k ab neend nahi aati,
tujhse dur rehne ki shiddat ab sahi nahi jaati,
ho jaate hain kisi tarah din to basar,
bas bina tumhare raatein guzar nahi paati,
kiya ha yun teri mohabbat ne hame giraftaar,
k hathkadi tere ishq ki chut hi nahi paati,
socha tha na batayenge kisi se bhi k marz akhir ha kya,
per ab bin bataye tujhko ye dard sahi bhi nahi jaati,
ek baar aa jao k ab judai ki ghataon se parda hate,
k ye ansuon ki din rat baarish sahi nahi jaati,
lakh koshish k ankh lag jaye tere khwab k bahane hi,
per kambakht teri yad me neend nahi aati bilkul nahi aati.

Sunday, July 31, 2011

Juda rehne ka ehsas

Juda rehne ka ehsas ho ha itna hasin ae sanam,
to sochta hun k tera milna kaisa hoga,
shayad ye ha mere ishq ka junoon ya fir muqaddar ha,
socha nahi ta k hamara bhi hal diwano jaisa hoga.
tujhse agaz karte hain har subah ka aur rehte ha usi khyal me,
kabhi na jaante the k ishq me haal aisa hoga.
hum bhi kabhi hua krte the dil fenk mast gustakh,
socha nahi tha k mohabbat ka kamal aisa hoga.
zahin koi rehta nahi ishq me aur kho deta ha sari samajh,
socha nahi tha kabhi k mera koi saal aisa hoga.

Guzaarish

Tera sath miley toh zindagi savar jaye,
tumhara hath miley to zindagi savar jaaye,
yun toh hum rehte ha khushmizaj hamesha hi,
us khushi me tu shamil rahe to zindagi savar jaaye.
tujhse milne ka asar kuch hota ha is kadar k jaise,
tu dekh le ek baar aur sara alam savar jaaye,
wah wah tera alvida kehne ka ha andaz,
juda hote hi jaise saari duniya thehar jaaye,
gazab shiddat nazar aati ha tere aah bharne k andaz mein,
aur ankhon me jaise sara samandar utarr aaye,
aa jaao na meri zindagi me bahar ek fuhaar banke,
isi guzarish mein darta hun na zindagi ye guzar jaaye.

Ajeeb Tauhfa-Sadness

Khuda ne ek tauhfa ajeeb diya ha mujhe,
gham apna na zahir hum kar paate hain kabhi,
jab bhi chaha k ro lein kisi dost ya hamdard k aage,
wo dost us pal me masruf mila ha tabhi.
bahut baar koshish ki k kisi k aage baha kar ansu gham ghata len lekin,
har kisi ko kuch na kuch zindagi ka uljha sa kaam raha ha tabhi,
meri zindagi k kisi bhi gham me koi bhi na mila ha gham-raaz aaj tak,
aur ab toh ye ummid bhi nahi k milega gham ka hissedaar kabhi,
har kisi k gham me hue hain shariq har lehza har darja hum,
lekin tanha hi khud ko paate hain aur choote jaate ha yar sabhi.
chalo khair ab to humne bhi maan liya ha isko zaimat uski,
aur haste hain sath hamare zakhm sabhi aur dard sabhi.

Judai ki raatein

wo has k jo kar jaate hain judai ki baatein,
na samjhe kabhi hum vidai ki baatein,
jaane ka unke asar ye hua ha,
hain mushkil bitani judai ki raatein,
wo kehte the aksar karenge wafa wo,
kahan se wo seekhe bewafayi ki baatein,
na zahir labon se jo hota ha gham wo,
ha rehta shakl-e-tanhayi ki raatein,
kuch hi dino me ha lagne laga yeh,
hazaron hain beeti judayi ki raatein.

Mushkil

Ye mohabbat ki kasak,ye jazbon ka bawandarr,
ek dil k zakhm taza,uspe mera yar sitamgar,
doobte jaatein hain hum ashkon k sailaab mein,
unhe ishq dikhta hi nahi,iss ashq-e-nayaab mein.
na samajh aaya unhe ha,kar chuke hain hum jo zahir,
batayein to kaise batayen,hal-e-dil zubanon se ha bahir,
aake wapas mud hain jaati baatein saari gham-parast,
aur uspe ye bhi mushkil wo hame maante hain hum-parast.
chupana mushkil batana mushkil,dil ka haal jatana mushkil,
jhuth unse bolenge nahi aur sach unko samjhana mushkil.