Sunday, June 5, 2011

Jaane ki Baari....

Bande tere jaane ki baari jab kabhi bhi aayegi,
teri saari hoshiyari bas dhari reh jaayegi,
ik sans k sath chutega ye duniya ka mela,
teri kamayi daulat-shohrat kaam nahi aayegi,
royega tu tadpega aur kahega bachao-bachao,
jab akhri palon me maut saamne aayegi,
kiya jinhone wada k tere sath jiyenge aur marenge,
sab kasmein wo mithya aur jhuthi nazar aayengi.
mitti ki ye dehi jsiper tujho maan sada tha,
dard k sath bojh lagne lag jaayegi,
ab bhi samay ha kar le aage ki taiyari bande,
warna akhir me kangali hi kangali reh jayegi.

The Power of ' L' The Love

Love looks like,
light lie, lightning lure,
left loom, lining large,
little lust, lake like lumps,
late life lamp, long lasting,
loop like lagoon, labelled laconic,
lacking lamentism,
like landscapic lane looking lovely like LIFE.

Sab Kuch BHRAMM Hai

Jagat ki saari rachna bhram ha,
paanch tatva ki ghatna bhram ha,
mann ki tumhari vytha bhram ha,
sansar ki har ek katha bhram ha,
jagan sovan aavan jaavan,
srishti ki har ek kriya bhram ha,
khana peena rona dhona,
maanav jaise ek khilona,
is khilone ki kaya bhram ha,
saare moh aur maya bhram ha.
mata pita aur baandh-sakha,
bhai behan ka nata bhram ha,
rishte naate sab kuch bhram ha,
jeena marna bhi ek bhram ha,
swarg narak aur lok lokantar,
katha kahani jantar mantar,
nitya kaho to wo bhi bhram ha,
anitya kaho to wo bhi bhram ha.
nirakaar aur saakaar bhram ha,
ishwar allah omkar bhram ha,
satya to wo jo vinshe naahi,
aur jo vinshe wo sab bhram ha.

Neend Kahan hai Pata Nahi

Ankhein hain bhaaari si per neend kahan hai pata nahi,
sone ki ha koshish jaari per neend kahan hai pata nahi,
dekha tha bas ek din usne ankhon me yun gaur se,
us din se ha dil to gayab aur neend kahan ha pata nahi,
karwat karwat aahein bharkar,koshish lakh martaba kar kar,
dhund dhund ka haare hum hain neend kahan ha pata nahi.
raaton ko hum jaag rahe hain,tujhse bas ye maang rahe hain,
lauta do gar kar sakte ho,meri neend kahan ha pata nahi.

Hriday ki Vedana

Hum keh nahi paate hain unse apne hriday ki vedna,
prem bandhan me pada hame kya nahi ha dekhna,
pehle gaya sukh-chain tha ab swapn ka adhikar bhi,
jaati rahi ha soojh saari aur saari chetna.

chakravyuh aisa racha hai apne sundar roop se,
yatn lakhon kar chuke hum,per kathin hain bhedna,
kehte nahi ha wo hriday me ha jo unke chupa,
sehsa hi beh nikalti ha unke nayno ki meghna.
ya nahi ha wo batate ya hum hi thode se saral hain,
kaise batayein mann ki unko,ye bhavna kaisi prabal ha.

Saturday, May 21, 2011

Tum aur tumhari Yadein

Ajkal bahut tadpa rahi hain,
tum aur tumhari yaadein,
kahun kya qahar dha rahi hain,
tum aur tumhari yaadein,
yun to raha karte hain hum bahut hi khushmizaj,
mizaj kuch gadbadaa rahi hain,
tum aur tumhari yadein,
gaye the keh k laut ayenge chand dino mein,
tab se din-rat bas sata rahi ha,
tum aur tumhari yadein.
wo chehra jise dekh dekh k dhadakta tha dil hamara,
us naksh ko har pal bas dikha rahi ha,
tum aur tumhari yadein.
jab samne the to kabhi ehsas na dard ka judai ka,
ab neend tak bhi bhula rahi hain,
tum aur tumhari yadien.
kehna tha bahut kuch aur kuch na keh sake,
ab ghazal pe ghazal likhva rahi hain,
tum aur tumhari yadein.

I saw her Crying

Today I saw her crying,
her eyes were wet,
her lips were dry,
couldn't figure out,
what made her cry.
Today I saw her crying.
I was bit surprised first,
i wanted to ask the reason,
why her eyes burst,what makes her,
look icy cold in warm season.
But she remained quite,
wiped her tears with a cloth,
she just thanked me for support,
and tried to convince both.
Today I saw her crying,
and I still feel bad,
I felt like dying,
and it left me real sad.