Sunday, March 27, 2011

Akhir kab tak

Bahut chaha k tum per bharosa karein fir se lekin,
daga dene ka zakhm na sahej payein hain ab tak,
maana k tumhari koi majburi rahi hogi,
per is dil ko yeh baat samjhayein kab tak.
tumne hamare hisse ki mohabbat ka sauda to kr dia,
us saude ka evaz hum chukayenge kab tak,
ab to kar do hame apni chahat k giraft se azad,
apne lahu ko tumhari hasi ka sabab hum banayein kab tak.
bardasht se bahar ye har roz qatl mere jazbaton ka,
tumhare zulmon ki intehan sahenge hum akhir kab tak....

Saturday, March 19, 2011

Abhi Waqt Hai

Banaya makaan unke ghar k paas lekin,
dil me ghar karne me abhi waqt ha.
jeete hain yun to humne lakhon dil,
unka dil jeetne me abhi waqt ha,
wo kehte hain k pasand ha unhe tanha rehna,
uss tanhayi me hamari maujudgi! abhi waqt ha,
hamare khwabon ki wo zeenat hain ek arsey se,
unke khwabon me bane hum razdar abhi waqt ha,
khub aata hai nigahon se kehna unhe ,
zuban se bhi wo kuch waisa kahein abhi waqt ha.
kayi dinon se khabar nahi mili k kaise hain,

aap hi batado taras kha k agar waqt haii...

Wednesday, March 16, 2011

khabar nahi aayi

Itni muddat se tumhari khabar nahi aayi,
yadon me har roz hamara dil dukhane chali aayi,
kehte na the hum k nahi bhulenge tumhe,
aur tum hi kehte the k namumkin c ha apni judai.
kaha krte the tum k jeena hoga muhal bina hamare,
pr nahi lagta k tumhe ek bar bhi meri yad hi aayi,
ye kaisa ishq ha tumhara k na kabhi meri khbar hi li,
aur na bhul se apni bhi khabar pahunchayi,
humko to yun hi tanhayi me khayal ye aa gaya,
kaash k hamare is khayal ko gaur farmaye ye khudai,
khuda kare k raho khush tum har rah-e-zindgani,
hame mubarakh hamari gardish-o-ruswayi.

Tuesday, March 8, 2011

Chand Sher

1. koi hmpr pyar na lutaye to kya, palkein hatheliyo se na chupaye to kya,
   hum bant te ha gham-e-evaz kushian, koi hame sharik-e-mehfil na banaye to kya.


2. hum apni tarah k bas ek hi hain,kaun ghalib kaise mir ye bhi to chand shayar hi hain.
                                                                                                                                                                                                     3. har koi ban raha ha shayar hi ajkal, kaun kehta ha k ishq shayri nahi sikhata...
                                                                                                                                                                                 4. socha tha maine bhi k kalam uthana ha muskil, lekin unke hijr-o-visal ne shayar bana diya.

Masruf

mat puch k kya kya na dekha gasht-e-duniya humne,
har koi jo dost banta tha masruf ban baitha,
jab bhi paya kisi ko gham-ghuzar humne,
apne kandhe pe saheja uske ashkon ko,
aur jab kabhi gham ki andhi me bikhrne lage hum,
har wo dost masruf ban baitha.

Masruf

mat puch k kya kya na dekha gasht-e-duniya humne,
har koi jo dost banta tha masruf ban baitha,
jab bhi paya kisi ko gham-ghuzar humne,
apne kandhe pe saheja uske ashkon ko,
aur jab kabhi gham ki andhi me bikhrne lage hum,
har wo dost masruf ban baitha.

Mere gham ka sabab

Mujse mere gham ka sabab pucha har rahguzar ne,
maine kia izhar-e-gham to har koi masruf dikha,
wo jo shamil tha meri har mehfil-e-ayyash mein,
usko bhi hamne tatola wo bhi to masruf dikha,
fariyad leke hum chale darbar-e-parvardigar me,
hal-e-dil usko batate wo bhi pr masruf dikha,
rehte hum kiske bharose har koi ha khud parast,
jisme bhi dekha bharosa wo hi shaks masruf dikha.

Honton ki Ghazal

Tumhare sath hi guzarta ha ajkal har lamha,
ho wo shab-e-mehfil ya sham-e-tanhayi,
kahin rehti ho tum hamare honton ki ghazal ban k,
kahin chalti ho sath ban k parchhayi,
tumhare bina chalta nahi hamari sanso ka safar,
jab gaye to sans gayi tum aye to sans aayi,
mitate hain naam dil se har roz lekin fir ubhar aata ha,
dil ne lakh koshish kee lekin tum fir bhi yad aayi.

QAYAMAT


Yun to dekhte hain har roz magar,
aaj kuch qayamat ki si lagti ho,
jamal-e-husn to yun rehta hi ha,
aaj chanda jaisi lagti ho,
maathe pe bindia akhiyon me kajal,
chunri ghata si le k jaise badal lagti ho.
aaj jane kyo tum qayamat ki si lagti ho.
mehki mehki lagti ho kuch behki behki lagti ho,
itr ki jaise bel lagi ho gazab ki aaj mehkti ho,
pariyo ki si ha sadgi phulon si nazakat tum me,
bayan karu kya lafzo se ek japani gudia lagti ho.
yun to dikhti ho tum roz hame per aaj alag kyo lagti ho,
jaane kyon tum aaj qayamat ki si lagti ho.