Tuesday, March 8, 2011

Honton ki Ghazal

Tumhare sath hi guzarta ha ajkal har lamha,
ho wo shab-e-mehfil ya sham-e-tanhayi,
kahin rehti ho tum hamare honton ki ghazal ban k,
kahin chalti ho sath ban k parchhayi,
tumhare bina chalta nahi hamari sanso ka safar,
jab gaye to sans gayi tum aye to sans aayi,
mitate hain naam dil se har roz lekin fir ubhar aata ha,
dil ne lakh koshish kee lekin tum fir bhi yad aayi.

No comments:

Post a Comment