Sunday, June 5, 2011

Sab Kuch BHRAMM Hai

Jagat ki saari rachna bhram ha,
paanch tatva ki ghatna bhram ha,
mann ki tumhari vytha bhram ha,
sansar ki har ek katha bhram ha,
jagan sovan aavan jaavan,
srishti ki har ek kriya bhram ha,
khana peena rona dhona,
maanav jaise ek khilona,
is khilone ki kaya bhram ha,
saare moh aur maya bhram ha.
mata pita aur baandh-sakha,
bhai behan ka nata bhram ha,
rishte naate sab kuch bhram ha,
jeena marna bhi ek bhram ha,
swarg narak aur lok lokantar,
katha kahani jantar mantar,
nitya kaho to wo bhi bhram ha,
anitya kaho to wo bhi bhram ha.
nirakaar aur saakaar bhram ha,
ishwar allah omkar bhram ha,
satya to wo jo vinshe naahi,
aur jo vinshe wo sab bhram ha.

No comments:

Post a Comment