Saturday, March 19, 2011

Abhi Waqt Hai

Banaya makaan unke ghar k paas lekin,
dil me ghar karne me abhi waqt ha.
jeete hain yun to humne lakhon dil,
unka dil jeetne me abhi waqt ha,
wo kehte hain k pasand ha unhe tanha rehna,
uss tanhayi me hamari maujudgi! abhi waqt ha,
hamare khwabon ki wo zeenat hain ek arsey se,
unke khwabon me bane hum razdar abhi waqt ha,
khub aata hai nigahon se kehna unhe ,
zuban se bhi wo kuch waisa kahein abhi waqt ha.
kayi dinon se khabar nahi mili k kaise hain,

aap hi batado taras kha k agar waqt haii...

1 comment: