Tumhe yad ho na yaad ho hame yad ha apka wo muskurana,
wo sharmaa ke nazron ko jhukana,
wo dono hathon se meri ankho ko chupana,
chupke se kaano me wo kuch romani sa keh jana,
tumhe yad ho na yaad ho hame yad ha.
wo choti-choti baaton per hamse ruth jana,mera manana,
aur fir khushi me wo tumhara pyar se gale lagana,
roz baatein karna baaton me wo waade krna,
sath rahenge ta-umr aise qararon ka karna,
tumhe yad ho na yad ho hame yad ha.
fir ek din jaane kya hua waqt ki lehron ko,
kuch is tarah sailaab me baha diya tumne humko,
aur fir akhir me wo tumhara bina wajah hame thukrana,
hum ab bhi ache dost hain ye baar baar dohrana,
tumhe yad ho na yad ho hame yaad ha..