Koi aajkal humse rutha hua sa lagta ha,
rehke kareeb bhi wo kuch ukhda hua sa lagta ha,
uski narazgi ka sabab kya ha kya pata,
bas wo apni hi baaton me uljha hua sa lagta ha,
dete rahe hum khushiyon ki shahdat apni,
fir bhi usko na dikhi kabhi mohabbat apni,
usne jani hi nahi ishq ki kabhi qadr hamare,
bakhuda wo husn k gurur me duba hua sa lagta ha.
wo ruth jaata ha har bar k hum manayenge usko,
keh k apni jaan hum rijhayenge usko,
wo jaante hain k hum majbur hain dil k hath,
kya karein k bina unke sab suna-suna sa lagta ha.
No comments:
Post a Comment