1. Hamari majburi ko hamri berukhi samajhne waale,
kaash tu bhi meri jagah aaye ek pal k liye.
2. Hum to hain mast apni dhun me hamesha se,
jaante hain k kisi ko bhi parwah nahi hamari.
3. Har baar de jaate ho kuch lafz zehan ki khuraak,
pehle hi hazam nahi hote hain per aur de jaate ho.
4. Itne hazir jawab ho aap na jaante the hum,
sawal ek k das jawab milne lage hain,
chalo acha ha thoda zaayqa badal raha ha,
hamare bhi lafzon ko haqdar milne lage hain.
5. Kya ilm ha unhe k unki ye guftagu ha inayat k jaisi,
wo dant bhi dete hain to sabak de jaya karte hain.
6. Kahein kya kudrat ko k dastur galat ha,
kabhi sukha kabhi sailab ki riwayat badal de.
wo kab aaye aur kab gaye na-malum na yad,
amad k sath rawangi me vasl ka hona,
ummid ha aap rakhenge sambhal kar,
meri mohabbat ka yahi akhir sarmaya ha.
9. baat purani lagti ha, lekin wo suhani lagti ha,
mohabbat ki kahani kitni ho nayi per jani pehchani lagti ha.
ibadat me bhi nafa nuksan dekhen khud,
aur ilzam humper k qafir hain.
ek-tarfa ishq kaafi ha rishte ko banaye rakhne ko,
hum nahi chahte k wo bhi ankhein bhigoyen.
kaise samjhayen k wo ha hamari naso me lahu jaise,
sara lahu bahana hoga bhulane k liye.
wo to aati ha ek roz ek baar lekin,
har roz koi shahadat-e-arman leti ha zindagi.
karta ha daga kaun yaron me gadaron mein dekhenge,
yun ghut ghut k marne se to behtar ha kaza.
judayi unki thi jo hamare gham ka sabab bahut din,
lagta ha aamad unki jayegi hamari jaan leke.
19. Badal jane k riwaz kaash hum sikh paate to acha hota,
daga dene k ehsas ko kaash hum kabhi jeet paate to acha hota,
tumne jaise badal liya apne khayalat ko jazbaat ko,
hum bhi kaash kabhi waisa kuch sikh paate to acha hota.
kaash tu bhi meri jagah aaye ek pal k liye.
2. Hum to hain mast apni dhun me hamesha se,
jaante hain k kisi ko bhi parwah nahi hamari.
3. Har baar de jaate ho kuch lafz zehan ki khuraak,
pehle hi hazam nahi hote hain per aur de jaate ho.
4. Itne hazir jawab ho aap na jaante the hum,
sawal ek k das jawab milne lage hain,
chalo acha ha thoda zaayqa badal raha ha,
hamare bhi lafzon ko haqdar milne lage hain.
5. Kya ilm ha unhe k unki ye guftagu ha inayat k jaisi,
wo dant bhi dete hain to sabak de jaya karte hain.
6. Kahein kya kudrat ko k dastur galat ha,
kabhi sukha kabhi sailab ki riwayat badal de.
7. Ehsas hi qayam ha unki amad ka mehaz,
baki to sab hijr ki diwangi ka asar ha.wo kab aaye aur kab gaye na-malum na yad,
amad k sath rawangi me vasl ka hona,
8. Dil ko qabu me rakhna tha mushkil,
isiliye to dil apko bhijwaya ha,ummid ha aap rakhenge sambhal kar,
meri mohabbat ka yahi akhir sarmaya ha.
9. baat purani lagti ha, lekin wo suhani lagti ha,
10. Unhe dekh dekh k jeete the kabhi ab dekhne ko jeete hain,
mohabbat ki judai bhi aksar umr badha deti ha.
11. Hisabon se kare ishq woh,
aur ilzam humper k hum saudagar hain,ibadat me bhi nafa nuksan dekhen khud,
aur ilzam humper k qafir hain.
12. Unka yaad na karne ka andaz hi hame pasand hai,
hum nahi chahte k wo bhi ankhein bhigoyen;ek-tarfa ishq kaafi ha rishte ko banaye rakhne ko,
hum nahi chahte k wo bhi ankhein bhigoyen.
13. Choti choti baaton per ae-dost kabhi khafa nahi hote hain,
kabhi socho to; kya jaan se zyada chahne waale bhi bewafa hote hain.
14. Wo muh fer k kehte hain k maaf kr dena hame,
aur kehte hain k bhul jana hamesha k liye,kaise samjhayen k wo ha hamari naso me lahu jaise,
sara lahu bahana hoga bhulane k liye.
15. Roz naye imtehan leti ha zindagi,
badnam maut ha jaan leti ha zindagi,wo to aati ha ek roz ek baar lekin,
har roz koi shahadat-e-arman leti ha zindagi.
16.Yun teeron se nashtaron se kya dar k jeene ka maza,
darte rahe jo hamesha to zinda rehna ha saza,karta ha daga kaun yaron me gadaron mein dekhenge,
yun ghut ghut k marne se to behtar ha kaza.
17. wo aaye ha wapas aise tufan leke,
kuch naye lafz kuch naye farmaan leke,judayi unki thi jo hamare gham ka sabab bahut din,
lagta ha aamad unki jayegi hamari jaan leke.
18. ek pal k liye aate ho aur chale jaate ho,
apna haal sunate ho aur chale jaate ho,
aise beparwah to na the tum kabhi k
bina hamara haal puche hi chale jaate ho.
daga dene k ehsas ko kaash hum kabhi jeet paate to acha hota,
tumne jaise badal liya apne khayalat ko jazbaat ko,
hum bhi kaash kabhi waisa kuch sikh paate to acha hota.
20. lafzon ki kya zarurat tumko tum bas ek nazar dekh lo,
kaun kehta ha k qatl krne ko khanjar zaruri hota ha.
kaun kehta ha k qatl krne ko khanjar zaruri hota ha.
No comments:
Post a Comment