Monday, February 14, 2011

Dil Kahe aur Dil sune to maza hai

Har baat zabaan se kahi to kya kahi,
is baar gar  dil kahe aur dil sune to kuch maza ha,
har baar jazbaat ankhen hi bayan karti to hain,
is baar gar palkein hi kahein to kuch maza ha,
yun to hum chu k honton ko chumte hain tumhe,
is baar fakat ehsas chum le to kuch maza ha,
chune se to milta hai sukun tumhe har baar,
is dafa mehaz nazar aaraam de to maza ha,
hamaare aane ki aahat to tum jaan leti ho yun to,
kabhi hamari sanso ki aahat pehchan lo to maza ha,
tumse zyada nahi hai aziz koi ye malum ha hame,
is haqiqat ko kaash tum bhi jaan lo to maza ha.

1 comment: