Saturday, February 19, 2011

Mausam

Kuch sard kuch garm aur kuch nam,
aisa kuch dil-e-jahan ka mausam ha,
lagta ha jaise ashko ka samandar ha har jagah,
bahut hi tanha saare jahan ka mausam ha,
tumhari yadon se aati ha wafa ki sada lekin,
ajkal jaise bewafai ka mausam ha,
the raunaq kabhi tum mehfilon ki hamari,
ab jaise mahaz veeraniyon ka mausam ha,
kabhi raha karte the tum hamari panahon me,
tumhe ye yad dilane ka mausam ha,
jin yadon ko hum bhul jana chahte hain,
un yadon k yaad aane ka mausam ha,
beeta tha pichla jo bahon me unki,
aaya fir wo barsat ka mausam ha.

No comments:

Post a Comment