Saturday, January 15, 2011

Antahkaran ki Awaaz

Kuch kehna ha mujhe per,
hota nahi varnan dukh ka,
is sansaar me kaise kaise
prani saman jutaye sukh ka,
koi dhan-sampati arjit karta,
koi sunder stri ko mohit karta,
kuch ache pakwan kha k mast ha,
koi apne ghar bhandar ha bharta,
is sabke baad bhi karan,
mila na kya ha dukh ka,
rasta mila nahi kisi ko bhi,
kya ha rasta satya sukh ka,
bhakti marg per chalna kisi ko yad nahi,
antahkaran ki aj k yug me sunta koi awaz nahi.

No comments:

Post a Comment